om ka jhanda fazaon mein udata aaya use tahzib ka sartaj banata aaya jis se har qaum ki taqdir bana karti hai hamein akhlaq ka wo dars sikhata aaya aatma saf hua karti hai jin jazbon se mashal-e-rah unhi jazbon ko banata aaya hum dayanand ko kahte hain payambar lekin khud ko wo qaum ka sewak hi batata aaya aariya-wart ka raushan-tarin minar tha wo raushni sare zamane ko dikhata aaya qaum ko shuddhi ki talim ka unwan de kar qaum ko ghair ke panje se chhudata aaya bhai-chaare se mohabbat se rawadari se qaum ko jine ka andaz sikhata aaya apni tahzib jise log bhula baithe the wed-mantar se wahi yaad dilata aaya shastr aur wed ke mantar ka uchaaran kar ke ahd-e-mazi ka ek aaina dikhata aaya ghor andhkar tha agyan ka jari har-su gyan agyan ke antar ko mitata aaya kufr-o-baatil ke ude hathon ke tote ai 'charkh' haq-parasti ka wo yun danka bajata aaya