chalo ab sameto khilaune kitaben nikalo ye kya dher tum ne lagaya hua hai phate kaghazon ka udhedi hui dolphin man ne dekhi to kutegi aansu bahate hue tum mere pas aaoge lekin main sahmi hui man ki angara-ankhon se aankhen churaungi mitti kuredungi panw ke nakhun se hathon ke nakhun katarte hue apne danton se main ne kai bar dekha hai tum us ki jholi mein chhup kar mera munh chadhate ho chori kiye us ke paison ka imchor khate ho pani tapakta hai honton se mere to man dantti hai dupatta udati hai jaane wo kya badbadati hai kalmohi kahti hai kis ko mujhe us ne ab tak bataya nahin hai ki khatti zabanon pe shirini rakkho to ubkai machhli ki manind bahar lapakti hai kyun khair chhodo mujhe tum phati dolphin sambhaalo!