wo kaun hai jo udas raaton ki chandni hain kai duaen labon pe le kar malul ho kar bhula ke sari thakan din ki ye sochti hai ki main na jaane hazar milon pare jo baitha hun kis tarah hun wo kaun hai jo udas raaton ke rat-jage mein duaon ki mishalen jalane khadi hui hai duaen jis ki mere liye hain main un duaon ke zer-e-saya zamin se aasman ki jaanib yun mahw-e-parwaz hun ki jaise bashar-gazida khuda se milne ko ja raha ho phir ek lamhe ko mere andar se itni aawazen gunjti hain main in se barson se aashna hun ye hath jo ki buland ho kar laraz rahe hain ye hath mere liye tahaffuz ka istiara ye hath mere liye jahan ki hazar khushbu se baala-tar hain yahi to hain wo jinhon ne mujh ko qadam uthana qadam badhana sikha diya hai