ishq ka mezban hai pyare husn ki bas ye shan hai pyare teri shekhi ka kya asar hoga tera aashiq pathan hai pyare jo tere husn ka bane ullu wo bada bhagwan hai pyare phika pakwan kyon na ho aakhir teri unchi dukan hai pyare ishq mein aur kya ho habs-e-dawam hijr khud andaman hai pyare qad to baalisht-bhar ka hai tera ek gaz ki zaban hai pyare han tabiat hari main kar dunga mere bangle mein lawn hai pyare mujh se achchha to ghair hi nikla jo tera feel-ban hai pyare tere abba se hoga interwiew kal mera imtihan hai pyare tujh ko mujh se yaqin-e-tark-e-wafa aur mujh ko guman hai pyare shauq se kha jo tujh ko aae pasand ye paratha ye nan hai pyare id-e-qurban pe ki hai qurbani le ye bakre ki ran hai pyare jis ko kahta hai tu 'zarif' zarif wo zarafat ki jaan hai pyare