ek nazm likhna bahut aasan hai ek kaghaz aur qalam hona chahiye aur dimagh aur ek dil aur wo lafz jo nazm likhna chah rahe hon aur dil aur dimagh ke darmiyan ek silsila lekin kabhi kabhi nazm nahin nazm nahin likhi ja sakti dil aur dimagh aur lafz kaghaz aur qalam jab in mein se koi ek nahin hota to phir nazm darmiyan se kho jati hai