tera jism lahu hai mera jis ki bunden gul-daste ke phul hain diwaron par taswiren hain kashti kashti dol rahi hai lep ke sae ye sab meri zanjiren hain jin ko mere zehn ka aahan kat raha hai kab tak main zindan mein baitha aane wale kal ko musht-e-khak samajh kar zarre zarre ko bhichunga dard ki aawaz se kab tak git sununga angaron par lot raha hun kab tak chob-e-munaqqash thame main sochunga wo ye shakh hai jis mein ek din phul khilenge