tajjub mein hun dekh kar rang-e-alam ilahi ye kya aa gaya hai zamana na pahli si wo mehr-o-ulfat ki baaten na agla sa chahat ka wo kar-khana jidhar dekhiye bas tassub, jihaalat jahan jaiye sirf ladna ladana jo talim deta hai jang-o-jadal ki wo hai intihai khirad-mand-o-dana jo talqin karta hai sulh-o-safa ki wo hai tir-e-zajr-o-jafa ka nishana na malum kab ye jihaalat mitegi kab aaega aish-o-khushi ka zamana milenge gale kab baham milne wale bajaega iqbaal kab shadiyana bas ab chhod do ye ziden warna yaro jahan mein hai mushkil tumhaara thikana rahoge yunhi paemal-e-jafa tum rahega yahi roz rona-rulana natija ye hoga ki ban jaoge tum fana ho ke ek ibraton ka fasana ye sab barkaten ahl-e-england ki hain karo jald unhen ab yahan se rawana