jab aankhen band karta hun to aa jati hain rangin titliyan in band aankhon mein hazaron rang apne aap bhar jate hain nazron mein ye udti titliyan hain hasin kaliyon si phulon si lachakti dolti lahraati balkhati hawaon mein mahakte rang gul bute sajati hain fazaon mein magar jab aankh khulti hai to ye ehsas hota hai yahan barud bam rocket dhamakon ki sadaen hain bahut bojhal fazaen hain jo un ke par jala denge wahi dahki hawaen hain yahi sab dekh kar main apni aankhen band karta hun ki in mein rang bharne titliyan phir laut aaengi