din amn-o-ashati ka manaenge agle sal ruthe dilon ko phir se milaenge agle sal barud par jo paise hue kharch is baras iflas-o-bhuk in se mitaenge agle sal har shakhs jis ko dekh ke samjhe hai mera ghar kuchh is tarah se ghar ko sajaenge agle sal jo ho gaya so ho gaya aao karen ye ahd apne tamam wade nibhaenge agle sal tum us se gar miloge to hum tum se kyon milen aise tamam jhagde mitaenge agle sal khaki kafan pahan ke jo sarhad pe ja base hai ye dua wo laut ke aaenge agle sal ek bar aur dekh len ji bhar ke us taraf hum apni khwahishon ko sulaenge agle sal chand aur zawiyon se padhenge abhi unhen khat tere yar sare jalaenge agle sal is sal to hain zakhm hare yaadon ke 'adil' koshish ye hai ki tujh ko bhulaenge agle sal