kitna arsa laga na-umidi ke parbat se patthar hatate hue ek biphri hui lahr ko ram karte hue na-khudaon mein ab pichhe kitne bache hain raushni aur andhere ki tafriq mein kitne logon ne aankhen ganwa din kitni sadiyan safar mein guzarin magar aaj phir us jagah hain jahan se hamein apni maon ne rukhsat kiya tha apne sab se bade khwab ko apni aankhon ke aage ujadte hue dekhne se bura kuchh nahin hai teri qurbat mein ya tujh se duri pe jitni guzari teri chudiyon ki qasam zindagi daeron ke siwa kuchh nahin hai kuhniyon se hamein apna munh dhanp kar khansne ko badon ne kaha tha to hum un pe hanste the aur sochte the ki un ko tissue-paperon ki mahak se allergy hai lekin hamein ye pata hi nahin tha ki un pe wo aafat tuti hain jin ka hamein ek sadi baad phir samna hai waba ke dinon mein kise hosh rahta hai kis hath ko chhodna hai kise thamna hai ek riyazi ke ustad ne apne hathon mein parkar le kar ye duniya nahin daera khinchna tha khair jo bhi hua tum bhi purkhon ke naqsh-e-qadam par chalo aur apni hifazat karo kuchh mahine tumhein apne tasme nahin bandhne is se aage to tum pe hai tum apni manzil pe pahuncho ya phir raston mein raho is se pahle ki tum apne mahbub ko wentilator pe dekho gharon mein raho