main to paidaish hi se ek shahzadi thi husn mere paikar mein yun dar aaya tha singhaar ke aaine mein jab main jhankti to khud par shaida hone lagti khwahish mere dil mein paida hone lagti ki meri puja log karen sar la ke mere qadmon par dharen lekin jab main ne angdai se husn pe apne naz kiya mahsus kiya ki duniya ko naraaz kiya thuka nafrat se logon ne aur mujh ko na-hanjar kaha badkar kaha ek roz unhon ne baalon se mere afshan meri nochi, noche kanon se aaweze banhon se chudi aur kade yun hathon kanon se mujh ko nangi kar ke ek zindan mein dal diya qumchi ke nishanon se mera shaffaf badan nila tha magar main ne na jhukaya apna sar ki main to paidaish hi se thi ek sultana jab tham ke main diwar uthi to tab bhi meri chaal mein tha pahla sa waqar-e-shahana be-dagh ek aaine ke gahre baatin mein apne raushan mathe pe likhe asrar jo padhna chahti main dar jati main ye puchhti khud se kaun hai tu? aamaq se meri ruh ke ek aawaz ubhar kar ye kahti hai teri duniya dur kahin us lamhe ke phailaw mein main dar ke samai rahti thi aankhon se meri ashkon ki dhaara bahti thi tha mujh ko yaqin ek roz mera shohra sun kar chaar aaina bandhe aaega mera pujari shahzada aur qaid se meri mujh ko chhuda le jaega suraj ki rath-gadi mere sar par se roz guzarti thi aangan mein utarte sae ko main khauf se dekha karti thi jab wo na mujhe lene aaya to ek din main ne maut se minnat ki ki aa ai meri mohram! mujh mein sama wo mera kahna man ke mujh mein yun mastana dar aai ki mere khun mein chhan chhan ghunghru baj utthe main jhum uthi aur chand ke daf par aangan mein shab bhar nachi- us subh unhon ne mere badan ko chaukhat par murda paya
This is a great laxmi puja shayari. True lovers of razia sultana shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore purani baatein shayari. Please share if you liked this!!!