khaksaran-e-dar-e-pir-e-mughan hain hum log yani minjumla-e-sahib-nazaran hain hum log hum ko manzur nahin dair-o-haram ki tafriq khatir-e-shaikh-o-barahman pe giran hain hum log hum se hai sina-e-geti mein mohabbat ka farogh ye jahan jism agar hai dil-o-jaan hain log zauq-e-irfan se jawani mein hain sanjida-khayal nudrat-e-fikr se piri mein jawan hain hum log hum se hain larza-bar-andaz khudayan-e-jahan ek nai subh-e-tamanna ki azan hain hum log be-nishan sina-figaron ka nishan hai hum se be-zaban khak-nashinon ki zaban hain hum log kahin aashiq kahin dilbar kahin sufi kahin rind aur kahin shair-e-ejaz-bayan hain hum log soz-e-ehsas hamein naghma-sara rakhta hai shoala-khu shoala-nafas shoala-ba-jaan hain hum log harf mein kyon na hamare ho surur-e-mai-e-nab khaksaran-e-dar-e-pir-e-mughan hain hum log