meri man maut ki aaghosh mein bhi khubsurat thi mujassam shukr-o-isar-o-wafa jo zindagi-bhar khud jhulas kar hum ko thandi chhanw di thi ab us ki chand si raushan jabin par dard ki gahri shikan si aa gai thi phir bhi us ka zard chehra pur-sukun tha wo jab tak hosh mein tha us ke honton par duaen us ki aankhon mein mohabbat thi meri man maut ki aaghosh mein bhi khubsurat thi use ek dusri duniya mein paidaish ki jaldi thi hamein ye zid ki hum ko chhod kar jaane nahin pae usi rassa-kashi mein us ka dil aur jism us ke hont us ki ruh zakhmi ho chuke the chhil chuke the phir bhi us ne apna sara bojh us palde mein dala tha jahan hum sab ikatthe mil ke us ko apni duniya apni is be-faiz duniya mein ghasite ja rahe the hamein malum tha ye jang haari ja chuki hai sab masihaon ke chehron par nadamat hai ajal ne aafiyat ke sare adde phunk dale hain magar maidan se paspai ka rasta nahin tha hum us ka hath thame un larazti ungliyon se sabr aur ummid ka paigham sunte the magar hathon se wo aise nikalti ja rahi thi ki jaise baadalon ki ot mein dhalte hoe mahtab ka paikar sarakta ho ya koi dast-o-pa sare ganwa kar aakhirash mashkiza-e-jaan apne danton se uthae tir khata ja raha ho aur use malum ho kheme talak aana nahin mumkin sinan dil mein taraazu ho to sab na-chaar girte hain sawaron ka to kya mazkur hai rahwar girte hain so wo dast-e-qaza thame hue rukhsat hui hum se ab hum kab bata pae hamein us ki abhi kitni zarurat thi meri man baqi sari maon jaisi khub-surat thi