awwalin zaiqa-e-khun se thi lab-talkh wo khak jis pe main tuti hui shakh ke manind gira kin shararon ki dahak dida-e-qabil mein thi wo hasad tha ki hawas taish ki nafrat kya tha aur phir mere badan mere lahu mein utra awwalin be-basi-e-karb-e-fana ka idrak bujh gai sham-e-nazar mit gae aawaz ke naqsh bu-e-gul, ju-e-saba, najm-e-sahar kuchh na raha larzish-e-mauj-e-tanaffus ke karishme the tamam ru-e-jaanan gham-e-jaan dida-e-tar kuchh na raha nasl-dar-nasl yunhi mere lahu ka pyasa nar-e-namrud bhi wo nakhwat-e-firaun bhi wo jam-e-zahrab bhi wo tesha bhi wo dar bhi wo khanjar-e-shimr bhi wo tarkash-e-changez bhi wo asia mein kabhi africa mein khun-rez bhi wo aur qabil se irshad kiya tha tu ne khun-e-habil ki in zarron se bu aati hai phail kar ab wahi bu sare jahan par hai muhit kya ye bu ta-ba-abad mera muqaddar hogi kya tere izn se qabil ki khu qaem hai kya ye khu ta-ba-abad mera muqaddar hogi