aafrinash samay dal dije khudaya badan mein tanawwo ki hairat-gari meri maurusiyat ki jadon mein har ek sans leti ikai ke khaliyon ki mitti bane ridh ki markazi jaliyon mein ajaib-kadon ka khazana chhupe mere hathon pe bhatke hue rah-giron ki manzil ka naqsha bane aur aankhon ki in putliyon mein tilismi charaghon ka jangal base apni aankhon ki is raushni se zamin ki tahon ko farozan karun aur faqa-kashon ki zaminon mein gehun ki surat ugun be-watan kashtiyon ke muhajir qabilon ka manjhi banun sard parbat ki tikhi hawaon ko sahte makinon ka suraj banun aur azal se guphaon ke tarik manzar mein pahli shuaon ka muzhda banun haddiyan noch khate hue dewtaon ke sinon mein palti hawas ka safaya karun khurdure panw walon ke panw tale makhmalin sabz sapne bichhati hui ghas ka ek rasta banun ye jo mumkin na ho to meri khak se chand girte makanon ki diwar ko hi utha dijiye meri mitti se maskan bana dijiye