chhail chhabila thumak thumak kar beach sadak mein aati jati har gadi se bhik ki punji uchak raha hai fiqre kaste collage ke nau-khez jawanon se hans hans kar baaten karta matak raha hai chaurahe ka ishaara be-sharmi se ghur raha hai lal pranda lapak lapak kar naqli kulhon ko mas karta latak raha hai jali dhalwanon se wo rangin dupatta ek taraf ko dhalak raha hai kali gadi wala kitni be-zari se hath ko us ke jhatak raha hai pairon mein ghungru chhankata mardana chehre par mal kar jhut ka ghaza niswani rangon mein luthda ek hayula jism aur jins ke ghanchakkar mein bhatak raha hai ab wo thoda dam lene ko zard ishaare ke sae mein aa baitha hai zard ishaara afsurda hai aaj bhi us se puchh raha hai lule langde andhe bahre kitne hi mazur yahan par roz aate hain tum kaise mazur ho jis ki jins nahin hai taish mein aa kar wo kahta hai nahin nahin ye jhut hai bilkul main ek aadha mard hun lekin apni aadhi jins kahin par kho baitha hun zard ishaare tana-zan hai gar tum aadhe mard the to phir aakhir tum ne aurat hi ka rup kyon dhaara zahr-alud nigahon se wo zard ishaare ko takta hai aur tikhe andaz mein yun goya hota hai jins-zada logon mein ghir kar zinda rahna kab aasan hai aurat hi ka rup hai jis se hawas ke mare in logon ko dilchaspi hai aurat hi ki majburi ka mol laga kar in logon ko haz milta hai tum kya jaano pet ka ye dozakh bharne ko kaise khud ko bech ke ye kaghaz milta hai zard ishaara ro padta hai rote rote phir kahta hai ye batlao itni zillat aur hiqarat aakhir kaise sah lete ho sach kahna aise bhi insan to honge jin se tum ne insan hone ke nate hi kuchh to izzat pai hogi kajrari aankhon se ponchh ke apne aansu ek talkhi se wo kahta hai hum se asfal be-tauqiron ko izz-o-takrim se kya hai shukr khuda ka muft ki sansen mili hui hain hum ko to itna bhi ghanimat hai ki hum ne apni apni an-dekhi maon ki muqaddas kokh mein pure nau mahine izzat pai sabz ishaara jal uttha hai dur kisi gadi se ek akhbar ka tukda beach sadak mein aan gira hai sarkari bharti ki ek tashhir hai jis mein mard aur aurat donon hi ko ahl likha hai raund ke apne pair ke niche ye tahqir-amez tarasha chhail chhabila thumak thumak kar beach sadak mein aati jati har gadi se bhik ki punji uchak raha hai