ai bahaar-e-gang ai bhaarat-nawaz teri hasti par hai ek aalam ko naz tere aaine mein hai aks-e-falak qatre qatre mein masarrat ki jhalak tere sine mein hain gauhar-ha-e-raaz rag pani ka hai kitna dil-e-gudaz rag ke parde mein hai shan-e-hijab teri maujon se jhalakta hai shabab tairte hain phul yun sahil ke pas taza dagh-e-dil hon goya dil ke pas tujh pe suraj ki shuaen hain nisar husn-o-khubi ka muraqqa hai bahaar koh-o-sahra shad hain sairab hain lahlahati khetiyan shadab hain tu rawan raaton ke sannate mein hai tazgi kaisi tere naghme mein hai naznin karte hain teri aarzu hai pari-zadon ka jamghat aur tu khush-kharamon ki hai kab ye chaal-dhaal teri peshani se zahir hai jalal ai faza-e-gang a nazuk-ada ghairat-e-firdaus hai teri faza tu hai ahl-e-hind ke dam ki sharik tu khushi mein sath hai gham ki sharik