haarun ki aawaz

dekho abhi hai wadi-e-kanan nigah mein
taza har ek naqsh-e-kaf-e-pa hai rah mein

yaqub be-basar sahi yusuf ki chah mein
lahra raha hai aaj bhi turra kulah mein

ye turra gir gaya to ulat jaegi zamin
mahwar se apne aur bhi hat jaegi zamin

tarikh ke safar mein ghalat bhi qadam uthe
gahe libas-e-faqr mein ahl-e-hasham uthe

gahe sanam-tarash ba-nam-e-haram uthe
parde nigah ke bhi magar besh o kam uthe

yun bhi hua dahai ikai mein dhal gai
khurshid ke alao mein har shai pighal gai

jab yun na ho saka to ye tarikh hai gawah
utthe asa-ba-dast ghulman-e-kaj-kulah

zer-e-zamin kushada hui zindagi ki rah
aur kuchh na kar saki kisi firaun ki sipah

har mauj-e-nil sanp si bal kha ke rah gai
ahram ki nigah bhi pathra ke rah gai

azdad ki ye jang usul-e-qadim hai
aur ab ki aadmi ki ikai do-nim hai

aflak ke tale sahi mitti azim hai
haarun ki zaban bhi lauh-e-kalim hai

had se guzar na jaen kahin kam-tarin log
musa ke intizar mein hain be-zamin log


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close