rah-e-manzil mein hum dushwariyon ka gham nahin karte guzar jate hain hans kar fikr-e-pech-o-kham nahin karte udate ho hansi waraftagan-e-ku-e-wahshat ki khirad-mando tumhein to hum sharik-e-gham nahin karte jamal-e-quds ki qurbat bhi kitni ruh-parwar hai ki is manzil mein ahl-e-dil fana ka gham nahin karte rah-e-manzil mein ehsas-e-fana aaghaz-e-manzil hai ayan har bul-hawas par raaz-e-kaif-o-kam nahin karte kabhi aflak ki rifat kabhi hai khak ki pasti gila phir bhi tera ai gardish-e-paiham nahin karte 'munir' isar par apne hai tarikh-e-junun nazan mata-e-zindagi lutne ka hum matam nahin karte