huzuri mein ye mushkil thi ki ho kya kuchh bayan pahle wafa ka zikr pahle ya jafa ki dastan pahle niyaz-o-naz mein farq-e-maraatib koi kya samjhe jabin pahle jhuki ya khinch ke aaya aastan pahle wahi hai wadi-e-aiman wahi tur-e-tajalli hai magar main sikh lun ahl-e-mohabbat ki zaban pahle kabhi ek aan mein soz-e-nazar se jal uthe parde kabhi barson hue tab-e-nazar ke imtihan pahle bas ek do gam aur aage hai is ke manzil-e-irfan agar tai ho sake ye manzil-e-wahm-o-guman se pahle khirad bhi rahbar-e-manzil hai lekin mo'atabar kam hai ye shart-e-awwalin hai dil ki ho le ham-inan pahle 'munir' aasan nahin hai rah-e-ulfat se guzarna bhi ye lazim hai ki ho le khugar-e-zabt-e-fughan pahle