wo meri ruh ka maqsud-o-fakhr-e-maujudat usi ke nur se raushan hai jalwa-gah-e-sifat sikha rahi hai khirad tujh ko fann-e-shisha-gari ajab nahin jo pareshan ho karobar-e-hayat har ek zarre mein hain lakh bijliyan ai dost nigah-e-shauq na ho jae markaz-e-afat sun ai farefta-e-qissa-ha-e-hijr-o-visal amiq-tar hain samundar se zindagi ke nikat khudi mein dub ke hangama aazma ho ja khudi na ho to na soz-e-yaqin na soz-e-hayat meri nigah khurafat-e-maddi pe nahin khirad hai past haqiqat hai arfa'ud-darajat nazar mila ki bataun ye zindagi kya hai na ho khumar to badhta nahin mazaq-e-hayat zamin-e-shor mein bagh-e-hayat kar tamir yaqin-o-azm se hasil hai aadmi ko sabaat sukun-e-dida-e-tishna hain mauja-ha-e-sarab khuda kare ki na tute tilism-e-lat-o-manat