dil mein hujum-e-shauq-o-tamanna abhi se hai aankhon mein ek surur ki duniya abhi se hai hazir nahin hue hain abhi bazm-e-dost mein lekin khayal-e-mahw-e-tamasha abhi se hai anfas mein abhi se hai ek hashr-e-iztirab ehsas mein qayamat-e-sughra abhi se hai har har khayal mein hai abhi se bahaar-e-husn har har nazar mein barq-e-tajalli abhi se hai bazm-e-tasawwuraat ka aalam na puchhiye zoron pe mehr-o-mah ka dhoka abhi se hai kitne hijab hain nigah-e-shauq par abhi aur samne wo chehra-e-zeba abhi se hai saqi nahin sharab nahin mai-kada nahin lekin faza mein masti-e-sahba abhi se hai wo aaftab-e-husn abhi ru-ba-ru nahin hasti tamam rashk-e-surayya abhi se hai khud husn ne diya bhi nahin hai jawab-e-ishq aur ishq hai ki husn-e-sarapa abhi se hai wo aae bhi nahin hain nigahon ke samne honton pe ek latif sa shikwa abhi se hai hain kitni dur husn ki aaghosh-e-naz se lekin supurdagi ki tamanna abhi se hai aur phir is ehtimam-e-huzuri ke bawajud kya jaane kyon firaq ka khatra abhi se hai