go aankhon se mahrum the mere baba magar qalb-e-raushan to tha pas un ke na jaane main kyon shararat bhi koi karta na tha bahan-bhaiyon ko satata na tha chura kar mithai bhi khata na tha main school se ji churaata na tha yahi khauf rahta tha har lamha mujh ko abhi jaise baba mujhe dekh lenge khafa honge dantenge chillaenge ghussa karenge go aankhon se mahrum the mere baba