samundar ki khushbu kahin dur se aa rahi hai, samundar ki bu se hain bojhal nashili hawaen hawaen jo sahil ki khasta tamanna se takra rahi hain hawaen purane zamane ke kuchh raaz dohra rahi hain yahan se zara fasle par nagar hai jahan log baste hain apni khamoshi mein dubi hui zindagi ko sahaara diye log rote hain hanste hain apne purane gharon mein hawaen purane gharon ki munderon se takra rahi hain purane gharon ki chhaton mein hadon mein purane parindon ki hain aashiyane purane gharon ke makinon ke apne fasurda fasane, koi apne dil ka fasana parindon se kahta nahin hai nashili hawaon ki diwangi koi sahta nahin hai samundar ki shorida-khu garm maujon pe bahta nahin hai samundar nagar ki bahut tang galiyon se hote hue mere tan ke tapida jazire talak aa gaya hai samundar meri aankh ke rauzan-e-yaad se ruh ke dasht mein jhankta hai samundar mere khun ke surkh mein maujzan nind ke zard mein nara-zan hai samundar mere khwab ke sabz par khanda-zan hai mere jism par apni khwahish ki bosidgi ki ridaen mere jism par khanda-zan hain ye taza nashili hawaen azal ka samundar meri aankh se bah raha hai abad ke samundar ka jadu mere dil se kuchh kah raha hai!