ghar ka ek akela bachcha nanha-munna tasi raja apne aap hi baitha khele aap hi hans le aap hi role papa bhi hain aur mammy bhi lekin unhen nahin hai chhutti us ke uthne se pahle hi papa jate hain tadke hi aur mammy us ko nahla ke khana-dana use khila ke apne kaam mein jut jati hain us ke hath kahan aati hain ab wo aur bas us ke khilaune tanha tanha kitna khele us ki dost hua karti thin kuchh din pahle ek dadi thin jaane kahan ja baith gai hain pote se kyon ainth gai hain dil hi dil mein nanha tasi karta rahta dadi dadi ek din papa jaldi aa ke shopping karne ko jate the bhagta aaya tasi bola mujh ko bhi kuchh chahiye papa papa bole kya kuchh bolo kahne laga ek dadi la do