nam jab leta hun honton par zaban ko pherta hun kyun ki us ke nam mein us ki zaban us ke labon ka zaiqa hai jab badan wo nam leta hai to aise jhunjhunata hai ki jaise us ki zahri ungliyon ne chhu liya ho nam us ka us ke apne bazuon ke daere ki tarah shorida-badan ko gherta hai nam us ka paniyon mein ghol kar pi lo zaban luknat-zada ho jae hai, aankhen alag chadh jaen hain, ji kuchh kahe lab kuchh kahe hai, nam us ka zanu-e-nakatkhadai par likhe se chhatiyon mein dudh chhalkane lage hain nam us ka siyahiyon mein gholne se sher la-fani likhe hai nam banjar dhartiyon mein thoda thoda sa chhidak dene se har pal bel-bute khinch de hai nam us harjai ka lene se har sankal khule hai us ko us ke nam se aawaz de dije to chaaron samt jo koi sune hai us ke lakhon nam dohrane lage hai aur kabhi us nam ke sunte hi andar se koi puchhe hai kis ka nam lo ho aur tab ehsas howe hai ki us ka ho ki apna ho wahi ek nam to hai aur tab ehsas howe hai wo hum mein hai ki us ka nam hum hain aur tab ehsas howe hai ki yusuf se zulekha sham se radha ke hijje hi juda hain warna chaaron ka tamasha ek sa hai