hikayat-e-dauran

dubla patla nazuk 'dauran'
shisha jaisa nazuk 'dauran'

gham ki kali raat ka mara
apne hi jazbaat ka mara

aathon pahar yun khoya khoya
jaise gahri soch mein duba

kam hansna aadat mein dakhil
khamoshi fitrat mein dakhil

shama ki surat bazm mein jalna
gah bhadakna gah pighalna

mathe par har waqt shikan si
chehra par aazurda thakan si

chehre se mahrumi zahir
masumi mazlumi zahir

aankhen har dam umdi umdi
palken har dam bhigi bhigi

karb aankhon mein dard aankhon mein
rah-e-wafa ki gard aankhon mein

sahma sahma sham-e-bala se
rutha rutha apne khuda se

aql-o-khirad se ji ko churae
pagal-pan se baz na aae

jaane dil mein kis ki lagan hai
ruh mein kis kante ki chubhan hai

ye hai apna 'dauran' yaro
uljha suljha 'dauran' yaro

lekin yaro yahi musafir
rah-e-wafa ka dukhi musafir

shanon par ek bojh ko lade
rah-e-talab mein aage aage

dil mein ek mazbut irada
nazron mein ek raushan jada

gham ki lambi raat pe bhaari
zulm ka aur zulmat ka shikari

insani tahzib ka qail
duniya ki tamir pe mail

sai-e-paiham us ki tamanna
jagmag jagmag us ka rasta

us ki sari fikr-e-pareshan
insani tanzim ki khwahan

nazmen us ki jaan-e-maqasid
ruh-e-tamaddun shan-e-maqasid

subh pe shaida sham pe aashiq
apne watan ke nam pe aashiq

baaten raib-o-riya se khali
har naqsh-e-kirdar misali

pyar insan ka dil mein chhupae
dard-e-jahan sine mein basae

'dauran' hai ya ruh-e-'dauran'
giryan giryan khandan khandan

is ki duniya apni duniya
is duniya mein sari duniya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close