darwaza pita ja raha hai mere jism par zakhm aur nil, hare hote ja rahe hain mujhe yaad aaya gandi galiyan aur maile buton ki bhaari ediyan mere aasab aur jism ko shal kar rahi thin kandhon kulhon aur ranon par bad-bu-dar danton ke nishan dahakti salakhon se mitane ki koshish bhi ki gai main unchi khidki se chhalang laga sakta tha! magar sada kaghaz par dastakhat ke baghair mujhe is suhulat ki ijazat bhi nahin di gai wo sab mere zinda hathon se ziyaada meri murda aankhon se khauf-zada the shayad main ne unhen bata diya tha ki main sirf be-maqsad zindagi aur be waqat maut se darta hun main ne kaha zakhmi danton ke sath mujh se hansa nahin jata lao kaghaz idhar lao main us par ek zor-dar qahqaha likh kar dastakhat kar dun mujhe yaad hai wo thak haar ke behosh hone chale gae the gandi galiyon aur buton ki bhaari ediyon ke sath darwaza phir pita ja raha hai!