ek arse se jazbaat-o-ehsas ki wadi-e-ishq ki basti nae purane sabhi makan tamannaon ke khuli chhaten ahd-o-paiman ki band jharoke ke aarzuon ke nim-shikasta diwar-o-dar armanon ke ummidon ke unche niche lambe chaude gile aur pathrile raste rahat ke ashjar sukun ki dub tarab ki khud-raw belen rang-birangi soch ke phulon ki shatranji mahrumi ki unchi choti tanhai ki jaan-lewa dhalwan dukhon ki sakht chattanen dard ki khai sab par yas ki barf jami thi chaaron jaanib thandi aur be-jaan safedi phail rahi thi jiwan kya tha ek kafan tha jis ke andar khud ko apne yakh-basta sine se lagae main ek zinda lash ki surat pada hua tha dil ke virane mein kuchh be-chehra lamhe aasebi sayon ki surat kanp rahe the hanp rahe the aaj achanak ek pari-chehra mere chehre se be-rang kafan sarka kar mere kan mein sargoshi ki meri aankh mein jhank kar boli uth aur dekh tere dil ki be-khabar dhadkan mein kitna pyara kitna dil-awez siyah gulab khila hai