kuchh nahin jaanta kis tarah aa gaya main hawa ke bhayanak tilismat mein kokh se jin ki taulid pate hain baalishtiye roz-o-shab har ghadi mujh mein dar aate hain be-ijazat khuli dekh kar khidkiyan aur dar maut aur zindagi un ka ek khel hai kyunki har ek baalishtiya maut se qabl jaan saunp jata hai apne kisi ja-nashin (dusre) ko dusra tisra aur phir tisra chauthe baalishtiye ko is tarah marte jite nirakar baalishtiyon aur un ke tilismat ka silsila janm se aaj tak sochta aa raha hun kitna majbur hun chahta hun magar in tilismat ka ant main dekh sakta nahin aur an-dekhe bhi un ka sirr-e-khafi mujh ko malum hai in tilismat ka ek qaidi hun main in se bichhda to la-raib mar jaunga ye jo bikhre to main khud bikhar jaunga aur phir apna munh khol kar mujh ko salim nigal jaegi ek dain zamin