ahbab se chhup chhup ke bhi roya hun main aksar par aaj bhari bazm mein rone ka maza aur hi kuchh hai ahbab ko hairat ki mere qahqaha-bardar labon par kyun le gain sabqat meri bhigi hui palken mere tapte hue aansu shayad mere ahbab ko malum nahin hai izhaar masarrat kabhi hota hai jo ro kar sau bar ka hansna bhi use chhu nahin sakta aansu hain wo moti palkon ke sadaf se jo nikalte hain usi dam jab dil ke samundar mein khushi ka koi tufan bapa ho tufan sama sakta nahin sirf hansi mein aansu hi use apni tarawat mein sameten to sameten aansu ki jasamat mein hain qatre se bhi kuchh kam izhaar masarrat mein samundar se bade hain behis mere ahbab hain kash un ko batae koi hamdam hasil jo khushi aaj hui hai mere dil ko shayad wo tabassum mein sameti hi na jati honton pe tabassum bhi bahut khub hai lekin aankhon mein tarashshoh ki faza aur hi kuchh hai us bazm mein rone ka maza aur hi kuchh hai