is khabar ke aane ke baad main apne ghar ki khidkiyan band karti hun bijli ke tar switch-off kar deti hun freeze mein rakha khana pados mein de deti hun bacha hua dudh gali ki billi ke aage dal deti hun aur ek gilass thanda pani piti hun tamam darwaze lock kar ke sadak par nikal jati hun dopahar se pahle ya raat ke kisi pahar sarkari gadi mein sarkari murda-khane mein mujhe baqi jila-watanon ke sath phenk diya jaega aur ek khabar chhapegi mulzima fulan-bint-e-fulan ke ghar purane sanduq mein purane kapdon ki tahon mein bahut si nazmen qabil-e-e'tiraaz haalat mein pai gain