ek desi hasina se mulaqat

sub-way mein nazar aai mujhe ek hasina
rusi nazar aati thi haqiqat mein thi china

andar ki faza aur thi bahar ki faza aur
mada thi magar chaal se lagti thi narina

boli ki mujhe log pukara kiye mary
daddy ne mera nam to rakha tha marina

shalwar ko nekar kiya banyan ko rumal
main rah-e-taraqqi pe chadhi zina-ba-zina

ab mujh ko dupatte ki zarurat hi nahin hai
maghrib ne sikhaya mujhe jine ka qarina

main ek hi andaz ke kapdon mein milungi
ho june ka session ki december ka mahina

desi thi magar rup mein kali ki tarah thi
wo garm bahut chae ki pyali ki tarah thi

pistol ki tarah aankh to goli ki tarah hont
aur nak to banduq ki nali ki tarah thi

aai thi yahan zulf-e-girah-gir kata kar
mashriq ki hawa baad-e-shumali ki tarah thi

us ka bhi na tha meri tarah koi bharosa
bengan ki tarah main hun wo thaali ki tarah thi

har uzw-e-badan misra-e-ghaalib ki tarah tha
chehre ki chamak matla-e-haali ki tarah thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close