hawaon ke taaqub mein main ek titli se takra ke zamin par gir pada hun paron ki gudgudahat se mere mathe se khun bahne laga hai mujhe yaksaniyat se khauf aata hai zyaada der ek hi kaifiyat mein zinda rahna kitna mushkil hai purane mausamon ki nauha-khwani mein nae mausam ki khwahish paida hoti hai main apne halaq ke andar kuan tamir karta hun main ud sakta hun lekin meri be-tabi ko jaane kaun si mauj-e-hawa aaghosh mein legi main thak ke baith sakta hun magar sari zamin mere liye aundhi padi hai meri sochon ke markaz se nikalte raston par mere naqsh-e-pa ke be-tartib khakon mein ab aankhen ug gain hain hawa ke hath mein ek lauh mera khwab-nama hai hawaon ke taaqub mein agar main mar gaya to kaun meri lahad par us lauh ko katba banaega