ghunudgi si rahi tari umr bhar hum par ye aarzu hi rahi thodi der so lete khalish mili hai mujhe aur kuchh nahin ab tak tere khayal se ai kash dard dho lete mere azizo mere dosto gawah raho birah ki raat kati aamad-e-sahar na hui shikasta-pa hi sahi ham-safar raha phir bhi ummid tuti kai bar muntashir na hui hayula kaise badalta hai waqt hairan hun fareb aur na khae nigah darta hun ye zindagi bhi koi zindagi hai pal pal mein hazar bar sambhalta hun aur marta hun wo log jin ko musafir-nawaz kahte the kahan gae ki yahan ajnabi hain sathi bhi wo saya-dar shajar jo suna tha rah mein hain sab aandhiyon ne gira dale ab kahan jaen ye bojh aur nahin uthta kuchh sabil karo chalo hansenge kahin baith kar zamane par