sar-e-bazm hum ye sitam dekhte hain hamari taraf aap kam dekhte hain jo milta hai saqi ke rukh ka pasina na tadi na whiskey na rum dekhte hain na dekhe kisi ne achhute wo jalwe in aankhon se teri qasam dekhte hain chalen sidhe raste ye kya naujawan dil teri zulf mein pech-o-kham dekhte hain sar-e-ghair pa-posh se hai safachat mohabbat ka kirya karam dekhte hain khushi gham junun hijr gor-e-ghariban mohabbat ke itne janam dekhte hain lagate hain dil baad mein ye hasin ab ki jebon mein pahle raqam dekhte hain zarif-e-sukhan-sanj naghma-sara hai ye urdu ka faiz-e-karam dekhte hain