sarasar ittifaqi maut thi us ne kaha tha mujh ko jaana hai so wo aise gaya jaise zamin se ghas jati hai sarasar ittifaqan panw chalne ke liye hote hain itna to sabhi taslim karte hain to aise mein agar mitti ki uryani shikayat-gar bhi ho jae to us par aur mitti dal dete hain so hum ne dal di mitti-pe-mitti ittifaqan ye to hota hai sarasar ittifaqi hadisa tha us ne khud likha tha duniya beach aana ittifaqi amr hai jaana sarasar hadsati to us par to adalat ne bhi kuchh hujjat nahin ki us ne khud likha tha hujjat nafsiyati aariza hai so adalat ne bila taftish use jaane diya jaise zamin se ghas jati hai sarasar ittifaqan bil-umum aisa hi hota hai hamesha ittifaqan