main gaya us taraf jis taraf nind thi jis taraf raat thi band mujh par hue sare dar sare ghar main gaya us taraf jis taraf tir the jis taraf ghat thi mujh pe markuz thi ek nigah-e-siyah aur ajab zawiye se banae hue thi mujhe sar se pa tak hadaf main gaya us taraf jis taraf ret ki lahr thi mauj-e-zarraat thi main nahin jaanta us ghadi tirgi ke tilismat mein jo ishaara hua kis ki ungli ka tha aur jo kholi gai thi mere qalb par kaun si baat thi sirf itna mujhe yaad hai jab main aage badha ek zanjir-e-girya mere sath thi main parinda bana meri parwaz ke daere ne jana ek saya ghana kashf hone laga main hare paniyon mein badan ka sitara dubone laga aur ek la-tayyun subuk nind sone laga ek udan-tashtari ban gai saeban main jahan tha wahan tha kahan aasman ek shoala tha bas mere honton se laf main gaya us taraf jis taraf jism-o-jaan ki hawalat thi jis taraf nind thi jis taraf raat thi chaar jaanib bichhi thi bisat-e-adam darmiyan jis ke tanha meri zat thi