hindu muslim sikh isai aadam ki aulad hain bhai kyun aapas mein karen ladai sab hain ek duje ke bhai urfi bedi jaani kashi hum sab hain bhaarat ke bashi jahan rahen par ek rahen hum khub padhen aur nek banen hum alag alag hai sab ki bhasha ek magar hai apni aasha gulshan sa ho watan hamara hara-bhara ho chaman hamara koi anokha kaam karen hum duniya bhar mein nam karen hum dushman ghar ghar aag lagae is se pahle hamein mitae pahan ke apne desh ki wardi jad se mita den dahshat-gardi baat 'faragh' uncle ki mano apni taqat ko pahchano