main umr ki ginti to ulti nahin kar sakta par main badalna chahta hun tumhaari paramparik soch taki khud ko mahsus kar sakun jawan aur hausla-mand naqli dant laga kar tute sapne nahin dekhunga unhin haalat mein khwabon ki nai niw rakhunga baalon ko rangne ki bajae nae indr-dhanush rachunga chashme ke badhte numberon ko bhul aur nae aks talashunga qadam ladkhadane ke pahle hi apni lathi ko mazbut karunga shor par dhyan dene ki jagah jo bhi jiwan bhar na sun paya wo git sununga meri jhuki kamar par taras khae koi us se pahle kisi dost ka hath tham lunga mere budhape par taras mat khao jawanon main is umr mein bhi tum sa naujawan lagunga han main wo diya ka ka natak dohraunga jo pahle kabhi khela gaya tha gar is umangon ne sath diya to budhape mein jawani ka ek naya itihas rachunga