tera chehra sada kaghaz hai tassur kora kora dagh hai koi na koi naqsh hai! kyun ye khidki band hai? aa tujhe apne labon se chum kar tere chehre ko bana dun ek achchhi si bayaz taki is par har ghadi bante rahen mitte rahen tere andar ghumte phirte hue na-shunida aur na-gufta huruf aa ye khidki khol dun taki tera andarun (teri palkon ki chiqon tak hi sahi) bahar to aae sada kaghaz par koi tahrir ho chaukhate mein koi to taswir ho warna ye ban jaega akhbar karobar-e-in-o-an ka ishtihaar waqt ke talwon se qatra qatra khun tere chehre par tapakta jaega jam jaega na-shunida aur na-gufta huruf gadmada jaenge ho jaenge 'jumble-up' baham band khidki ke paton par shokh ladke kuchh ka kuchh likhte rahenge