fasad-e-shahr tham gaya faza mein bas gai hai ek zahr-nak khamushi hiras khauf bebasi main kha raha hun pi raha hun ji raha hun kis tarah ye narm luqma-e-ghiza garm ghunt chae ka kisi khayal ke tale jale hue lahu ke zaiqe sa munh mein jam gaya fishaar-e-kisht-o-khun ke baad muztarib sukut jaise dhadkanon ke raste mein tham gaya shuur-e-umr-o-zindagi simat gaya hai karb ke jumud mein shigaf pad gaya hai jaise dur tak wajud mein wo kaifiyat hai jaise ghar mein koi mar gaya ho aur us ki lash der tak zamin par dhari rahe koi jagah se hil ke us ko dafn tak na kar sake