pul ke us sire se aati hui angusht chehre wali bad-surat aurat ke latke hue pistanon par bhinbhinati makkhiyon ki mari hui aankhon mein sukhi nadi ke adh-mue meindakon ki sarsarahat langde bhikari ki pasliyon ke darmiyan hanpti ikaniyon ki kashkoli khansi ki maili shiknon mein rengte bichchhuon ke sae bason taxiyon aur rickshawaon ke phisalte pahiyon tale daudti sadkon ki ridh ki haddiyon mein bikharti hui tirgi ka khurdura lams meri khidki ki chaukor udasi ke pile danton par jami hui pidhiyon ko khurachne ki ek aur nakaam koshish ki siyahiyon mein gum ho jate hain