udasi ke pile darakhton ki shakhon se chipke hue sabz patton mein tera tajassus mere jism ki tutti sarhadon par khayalon ke sayon ko ruswa karega kuen ke andhere ki bhigi hui jamuni aankh ki gol chiknai ke surkh khwabon ke andar jawan lams ke ek jangali kabutar ke phaile hue par ufuq ko chhuwenge mujhe band kamre mein baitha hua dekh kar gol khidki ke shishon pe barish ke qatron ki aankhen khulengi koi marmarin hath thandi hawa mein mujhe apni jaanib bulaega lekin mujhe khauf hai tera pila tajassus samundar pe phaili hui suraji sham ki sidhiyon se tujhe khud-kushi ki taraf le na jae