suno tumhaare phaphund lage jazbe ab kisi ko mutassir nahin kar sakte kyunki huruf-e-tahajji se lafzon ki ek nai botiqa likhi ja rahi hai jis mein mim se mohabbat dal se dard aur jim se judai nahin shayad in lafzon ko zanjiron se bandh kar kisi andhe kuen mein phenk diya gaya hai lafz bhi ab to sazishen karne lage hain mohabbat ko diwar mein chun kar nafraten sina tan kar chalti hain aur dukh khushiyon ko patti patti bikher kar khilkhilate hain aur to aur ab parinde bhi aasmanon par nahin udte ki kahin kisi na-malum drone ki zad mein aa kar zamin-bos na ho jaen titli ke paron par nil pade hue hain aur bhanwre dandanate phirte hain magar koi aasman nahin phahtta is liye suno lafzon ki nai botiqa likhi ja rahi hai to aur kuchh nahin to tum apni aadhi adhuri nazmen is mein pesh-e-lafz ke taur par shamil kar do is se pahle ki wo kisi aatish-dan ka indhan banen ya kisi kude-dan se un ke purze hawa ke hath lag jaen aur hawa unhen rail ki patri par phenk aae aur is se bhi pahle ki nazmen khud-kushi kar len aur lafzon ki nauha-khwani se duaen rasta bhul jaen ya phir aao aisa karen ki lafzon ki nai botiqa mein wahi purane lafz hi kasht karen yani mim se mohabbat dal se dard aur jim se judai