iman ki tafsir qalandar ka tarana samjhe to palat aae bulandi pe zamana bebak nigahon ka falak-bos ishaara sangin chatanon se guzarta hua dhaara be-tabi-e-fitrat ki sukun-bakhsh kahani shoalon se banai hui shabnam ki rawani ashkon mein nahai hui ek mauj-e-tabassum mallah ka girdab mein jis tarah tarannum ilham mein takmil-e-haqiqat ki adaen shahin ki parwaz mujahid ki nawaen soi hui qismat ko jagata hua naghma har sans ko hangama banata hua naghma patjhad ki taraf dekh ke hansta hua baadal sukhe hue kheton pe barasta hua baadal ek barq sar-e-tur takallum ke sahaare ek jalwa-e-mastur tarannum ke sahaare ek shama rah-e-shauq mein manzil ki nishani ek paikar-e-lafzi ki nawa-khez jawani ek ruh jo insan ko insan bana de ek dard jo jazbaat ko iman bana de 'iqbaal' ka har sher hai mai-khana-e-hasti har rind ko deta hai jo paimana-e-hasti