zamana kitna badal gaya hai maqam rishton ka mit raha hai kahin mohabbat ka rup dhaare kahin sulagte ye nafraton se kahin pe aankhon mein ret ban kar chubhan ki surat rula rahe hain kahin ye barqi payam ban kar hazar milon pe chhai duri ke baadalon ko hata rahe hain dilon ki dhadkan badha rahe hain riwayaton ko badal rahe hain wafa ke dhage jafa se har dam ulajh rahe hain udas lamhe khushi-o-hairat ki sari ghadiyan dilon se bahar nikal ke diwar ka nawishta mohabbat azali azim rishta jo lakhon pardon mein jagmagata tha ab status pe ishtiha ki khabar ki surat badal raha hai koi bhi jazba koi bhi rishta na mustaqil hai na mo'atabar hai palak jhapakne mein badle manzar ki jaise koi jahan-zadi talluq apna badal rahi ho nai koi chaal chal rahi ho junun ki agli jo manzilen hain wahan pe taswiren aawezan hain dabi dabi muskurahaten hain ghuti ghuti sansanahaten hain junun ehsas aur mohabbat waqar apna mita rahi hain bata rahi hain zamana kitna badal gaya hai