ek nazar

sote sote jo yakayak kabhi khul jati hai aankh
nim-bedari mein aati hai nazar ek nazar

kahkashan se bhi ziyaada hai latafat us mein
aakhir-e-shab ke mah-e-nim-farozan ki tarah

khwab-awar si shuaon mein hai lipti lipti
phir bhi is narm nigahi mein hain kya tir chhupe

tanz hai talkhi-e-dauran ka ek afsana hai
is mein hasrat bhi shikayat bhi gham-e-furqat bhi

dil laraz jata hai aur hoti hai wahshat tari
mujh ko mahsus ye hota hai ki mujrim main hun

aisa lagta hai ki toda hai kisi ke dil ko
dil jo masum tha be-laus tha pakiza tha

kya karun kya na karun koi mudawa bhi nahin
kuchh samajh mein nahin aata ye muamma kya hai

nind se uthte zara dar sa mujhe lagta hai
nim-bedari mein aati hai nazar ek nazar

aah wo mithi nazar talkh nazar pak nazar
tir-o-nashtar hain chhupe kitni hai saffak nazar

yaad kuchh bhi nahin aata mujhe us ke aage
han kisi yug mein kisi ne meri puja ki thi

main ne us ko to magar ghaur se dekha bhi nahin
pyar ki bhent chadhane kabhi aaya tha koi

main ne munh pher liya dewi thi main patthar ki
lekin is baat ko kitne hi janam bit gae

phir bhi pichha mera karne se na wo baz aaya
yun hi sadiyon se hai mere hi liye aawara

nim-bedari mein aati hai nazar ek nazar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close