jis ki aawaz kanon mein subh subh chidiyon ki tarah chahakti thi jis ki maujudgi se fazaon mein khushbu si mahakti thi wo meri pahli mohabbat thi jis ki aankhen dekh mutassir ho jate the hiran naqab se jis ka chehra aise jhalakta tha jaise suraj ki pahli kiran jis ka muskurana tha ki jaise wadiyon mein sahar ka aana kisi phul ki tarah jis pe titliyan mandraya karti thin wo chand se aai thi shayad raat mein sitaron se baaten kiya karti thi jo din ka pahla paigham bhi thi aur raat ka aakhiri salam bhi subh-ba-khair se le kar shab-ba-khair tak jo mera takiya-kalam thi wo meri pahli mohabbat thi khamoshi mein chhupae jazbaat jo samajh leti thi bin zahir kiye tamam ehsasat jo parakh leti thi mere liye jo har kahani har ek qisse mein thi har ek shairi har ek ghazal ke hisse mein thi jo har nazm mein thi aur har mausiqi mein bhi dildar bhi thi jo aur duniya-dar bhi shan-o-shaukat ki is duniya mein mujh gharib ki chahat ki talabgar thi wo meri pahli mohabbat thi jo mazi thi magar mera mustaqbil na ban pai mere sath har haal mein raazi thi magar zindagi mein shamil na ho pai pyar ki rah mein jo meri ham-safar thi jis ke jaane ke baad meri zindagi sifar thi kuchh rishte khun ke hote hain aur kuchh dil ke magar ruh ka rishta sirf jis shakhs se tha wo meri pahli mohabbat thi mere takhayyul mein jo ek taswir ban ke rah gai jo dil mein mere bas ke taqdir mein kisi aur ki ho gai jo hamraaz bhi thi aur meri zindagi ka sab se bada raaz bhi jis ke jaane ke muddaton baad bhi us ke wapas aane ki ek aas thi wo meri pahli mohabbat thi wo meri pahli mohabbat thi