jabki khamosh hui jati thi ummid ki lau jabki paigham-e-mehan lata tha har lamha-e-nau jabki ek do hi masarrat thin aur aalam the sau mere honton pe faqat kalma-e-izhaar tha jab aur mohabbat ko meri baat se inkar tha jab jab tha gosh-e-dil-e-mushtaq tera talib-e-saut jab tha be-zaiqa har lafz-exlab-e-sahib-e-saut jab tha koi na tera ham-sar-o-ham-rakib-e-saut mahw aankhon se meri ek rukh-e-mahtab tha jab aur kanon ke liye saut-e-hasin khwab tha jab jabki aazar mein aaram tha aaram mein dard jabki har sans mein taklif thi har aah thi sard jabki izhaar ke chehre pe thi inkar ki gard main ne suraj ka ki jab aag ugalna dekha subh-dam sard hawaon ka na chalna dekh aur phir sang-dil-e-but ko hui ek jumbish hui mahsus mere qalb ki jab us ko khalish tab kahin ja ke hui us ko asar ki khwahish mujh ko bedar hila kar kiya shanon se mere ru-ba-ru saut-e-hasin ho gaya kanon se mere su-e-sahra-e-samaat wo ek aawaz chali ek chhuri hichkiyon ki dil pe ba-sad-naz chali ju-e-ummid mein ek kashti-e-eajaz chali bandh tuta jo chala sail mein ek saz-e-rubab mere is dil ne bil-akhir suni aawaz-e-rubab baat karte hue jazbaat ka ghatna badhna lahja-e-narm mein sanson ka utarna chadhna ghazal-e-ashk ke har lafz ko ro kar padhna jo hua main ne na socha tha muqaddar nikla donon ki quwwat-e-bardasht se bahar nikla lab-e-sad-naz se jis waqt mera nam liya dil ne ashkon ki rawani se bahut kaam liya goya pal bhar ke liye hath mera tham liya dil pe yun hat rakha sar se alam tal diya ek lamhe ke liye hijr ka gham tal diya dil bhi har qism ki taklif se lad jata hai waqt apni pe gar aa jae to ad jata hai jism furqat ki shab-e-gham mein akad jata hai main usi shab mein hun utni hi mohabbat le kar hijr ka dard liye wasl ki chahat le kar